08-01-2013, 05:40 PM
Teri Bargah Mein Ay Khuda
Junhi Sar Ko Maine Jukha Diya
Usi Waqt Teri Khudayi Ne
Mujhe pastiyon Se Utha Diya
Main Zaleel Tha Main Haqeer Tha
Tere Dar ka Aik Faqeer Tha
Tu Ne Aik Hi Sajday Mein
Mujhe Kya Se Kya Bana Diya
Rag-e-Jaan Se Bhi Tu Qareeb hai
Tu Hi Likhta Sab K Naseeb Hai
Jisay Chaha Pal Mein Utha Diya
Jisay Chaha Pal Mein Gira Diya